Deepak Chahar aaj kal bahut chaa gaya hai.

avatar

Ye bande ko to aap log jaante hi honge bhai log lekin main pahle se nahi jaanta tha isko abhi haal filhaal se jaana hai. Jab t20 match me west indies ke khilaf 3 over feke usme se 1 maiden bhi diya aur 4 run de kar 3 wicket liye bande ne. Ab aap hi batao iski tareef na kare to fir kya kare. Itna mast khela hai bande ne yaar maja aa gaya sach me kya mast khela hai iss bande ne. Apni gendbaaji se mera dil hi jeet liya bande ne. 


Image source

Mujhe to bhai iska match bahut hi jyada pasand aaya. Kitna achha bowling kiya yaar bande ne uske baad abhi tak dekha hi nahi iska match. West indies ke akhri match me najar aaya tha ab to mujhe lagta hai kal waale match me bhi wo jarur najar aayega. Kya lagta hai aap ko aayega ki nahi? Mujhe yaad nahi yaar ki ODI me najar aaya tha ki nahi. 

Kyo ki sala match hua hi nahi to fir kaise dekhta main. Mere khyaal se nahi khel raha tha lekin khilana chahye tha yaar isko. Achhi bowling karta hai aur aise bando ko badhawa to dena hi chahye pata nahi kyo isko nahi khilaate hai. Sayd ODI waale match me isko nahi liya hai ab pata nahi isko kab dekh paaunga t20 match me bhi sala akhri match me hi dekha iss bande ko. 


Image source

Rahul Chahar se bhi mil lijiye.
Ye banda hai deepak ka chota bhai. Aap ko pata hai ye uss se 8 saal chota hai. Sala itna gap rakhte hai aaj kal ke log main to bhaiyya 3 saal ka gap rakhunga aur hum 2 humare 2 hi rakhunga. Samajh rahe ho na aap sabhi log. Aap log se bhi yahi kahunga ki 2 hi rakhna bhai log ya fir ek hi rakhna. Is se jyada mat rakhna aaj ke samay me bhai log 1 hi rakhna ho sake to lekin bhai log main to 2 rakhunga. 

Rahul abhi chota hai utna achha bowling nahi karta hai. Wo bhi uske saath match me khel raha tha. Pahli baar dono bhai ek saath khel rahe they lekin ye utna achha nahi khel paaya tha. Ye bhi ek gendbaaj hi hai. Lekin bhai log gendbaaj ki utni izzat nahi karte hai log jitna izzat ek ballebaaj ki karte hai. 

Chalo ab main chalta hoon kal ka ab intezaar karte hai kon kon kal khelta hai aur kaisa khelta hai. Pahla match to bhai paani ki wajah se hua nahi ab dekhte hai dusra match ho paata hai ki nahi. 



0
0
0.000
1 comments